sawad-e-hijr mein rakkha hua diya hun main
savād-e-hijr meñ rakkhā huā diyā huuñ maiñ
tujhe ḳhabar nahīñ kis aag meñ jalā huuñ maiñ
maiñ qarya qarya phirā gard-bād ban ke jahāñ
usī zamīn pe parcham-sifat uThā huuñ maiñ
abhī chhuTī nahīñ jannat kī dhuul paañv se
hanūz farsh-e-zamīñ par nayā nayā huuñ maiñ
hazār shukr hai ki ḳhud pe ustuvār thā maiñ
hazār shukr ki buniyād par girā huuñ maiñ
mirī shaguft ke mausam abhī nahīñ aa.e
kahīñ kahīñ pe magar phir bhī khil gayā huuñ maiñ
mirī shikast bhī hai reḳht 'iftiḳhār-muġhal'
ki yūñhī banñe bigaḌne meñ hī banā huuñ maiñ
sawad-e-hijr mein rakkha hua diya hun main
tujhe KHabar nahin kis aag mein jala hun main
main qarya qarya phira gard-baad ban ke jahan
usi zamin pe parcham-sifat uTha hun main
abhi chhuTi nahin jannat ki dhul panw se
hanuz farsh-e-zamin par naya naya hun main
hazar shukr hai ki KHud pe ustuwar tha main
hazar shukr ki buniyaad par gira hun main
meri shaguft ke mausam abhi nahin aae
kahin kahin pe magar phir bhi khil gaya hun main
meri shikast bhi hai reKHt 'iftiKHar-mughal'
ki yunhi banne bigaDne mein hi bana hun main
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 153)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 5,6 April To Sep. 1998)
- Edition : Issue No. 5,6 April To Sep. 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.