sawal hi nahin duniya se mere jaane ka
savāl hī nahīñ duniyā se mere jaane kā
mujhe yaqīn hai jab tak kisī ke aane kā
mile safar meñ Thikāne to be-shumār magar
milā na ham ko safar meñ koī Thikāne kā
ka.ī to zinda-e-jāved bhī hue mar kar
kisī ke haath na aayā sirā zamāne kā
khulī havā ke sivā bāġhbāñ se kyā māñgūñ
mu'āvza nahīñ lete tuyūr gaane kā
nizām-e-zar meñ kisī aur kaam kā kyā ho
bas aadmī hai kamāne kā aur khāne kā
sawal hi nahin duniya se mere jaane ka
mujhe yaqin hai jab tak kisi ke aane ka
mile safar mein Thikane to be-shumar magar
mila na hum ko safar mein koi Thikane ka
kai to zinda-e-jawed bhi hue mar kar
kisi ke hath na aaya sira zamane ka
khuli hawa ke siwa baghban se kya mangun
mu'awza nahin lete tuyur gane ka
nizam-e-zar mein kisi aur kaam ka kya ho
bas aadmi hai kamane ka aur khane ka
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 51)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.