aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi wadi o sahra ka safar hai kyun hai

Ibrahim Ashk

zindagi wadi o sahra ka safar hai kyun hai

Ibrahim Ashk

MORE BYIbrahim Ashk

    zindagī vaadī o sahrā safar hai kyuuñ hai

    itnī vīrān mirī rāh-guzar hai kyuuñ hai

    ujāle tarah aa ke lipaT mujh se

    ik añdherā idhar aur udhar hai kyuuñ hai

    roz miltā hai koī dil ko lubhāne vaalā

    phir bhī mirā mahbūb-e-nazar hai kyuuñ hai

    ghar tasvīr bhī sahrā tarah hai lekin

    farq itnā hai ki dīvār hai dar hai kyuuñ hai

    jis ko dekhūñ vahī barbād huā jaatā hai

    aadmī kyā hai mohabbat khañDar hai kyuuñ hai

    maiñ samundar huuñ magar pyaas hai qismat merī

    mere dāman meñ agar 'ashk' guhar hai kyuuñ hai

    zindagi wadi o sahra ka safar hai kyun hai

    itni viran meri rah-guzar hai kyun hai

    tu ujale ki tarah aa ke lipaT ja mujh se

    ek andhera sa idhar aur udhar hai kyun hai

    roz milta hai koi dil ko lubhane wala

    phir bhi tu hi mera mahbub-e-nazar hai kyun hai

    ghar ki taswir bhi sahra ki tarah hai lekin

    farq itna hai ki diwar hai dar hai kyun hai

    jis ko dekhun wahi barbaad hua jata hai

    aadmi kya hai mohabbat ka khanDar hai kyun hai

    main samundar hun magar pyas hai qismat meri

    mere daman mein agar 'ashk' guhar hai kyun hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now