aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

de uThi lau jo tere sath guzari hui sham

Abhishek Shukla

de uThi lau jo tere sath guzari hui sham

Abhishek Shukla

MORE BYAbhishek Shukla

    de uThī lau jo tire saath guzārī huī shaam

    hujra-e-jāñ har ik chiiz pe taarī huī shaam

    umr bhar dhuup lapeTe rahe apne tan par

    ham se pahnī na ga.ī us utārī huī shaam

    pahle to mujh se mirī zaat matlab pūchhā

    aur phir apne ehsās se aarī huī shaam

    ai junūñ pūchh isī lamha-e-maujūd se pūchh

    lams ye kis uThāyā hai ki bhārī huī shaam

    do kirdār numāyāñ haiñ kahānī meñ mirī

    be-karāñ dasht huā maiñ to shikārī huī shaam

    is taraf dasht-e-badan meñ koī sūraj Duubā

    us taraf sīna-e-aflāk se jaarī huī shaam

    maiñ naseñ kaaT ke sūraj meñ utar jaatā

    par ḳhayāl aaya tirā hijr maarī huī shaam

    kyā faqat ham se savālāt kiye jā.eñge

    kyā faqat ham se muḳhātib hai ye haarī huī shaam

    ham ne har shai meñ utarte hue dekhā ḳhud ko

    yaad aa.ī jo tire qurb pe vaarī huī shaam

    de uThi lau jo tere sath guzari hui sham

    hujra-e-jaan ki har ek chiz pe tari hui sham

    umr bhar dhup lapeTe rahe apne tan par

    hum se pahni na gai us ki utari hui sham

    pahle to mujh se meri zat ka matlab puchha

    aur phir apne hi ehsas se aari hui sham

    ai junun puchh isi lamha-e-maujud se puchh

    lams ye kis ka uThaya hai ki bhaari hui sham

    do hi kirdar numayan hain kahani mein meri

    be-karan dasht hua main to shikari hui sham

    is taraf dasht-e-badan mein koi suraj Duba

    us taraf sina-e-aflak se jari hui sham

    main nasen kaT ke suraj mein utar hi jata

    par KHayal aaya tera hijr ki mari hui sham

    kya faqat hum se sawalat kiye jaenge

    kya faqat hum se muKHatib hai ye haari hui sham

    hum ne har shai mein utarte hue dekha KHud ko

    yaad aai jo tere qurb pe wari hui sham

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now