shafaq-sifat jo paikar dikhai deta hai
shafaq-sifāt jo paikar dikhā.ī detā hai
har ik nigāh kā mahvar dikhā.ī detā hai
udhar khulī koī khiḌkī na koī darvāza
jahāñ se aag kā manzar dikhā.ī detā hai
chalo ki niilī fazāoñ meñ bādbāñ kholeñ
safar-navāz samundar dikhā.ī detā hai
kaTe to kaise ye andhī rifāqatoñ kā safar
na koī chehra na manzar dikhā.ī detā hai
nazar na aa.e to sau vahm dil meñ aate haiñ
vo ek shaḳhs jo aksar dikhā.ī detā hai
paḌe haiñ band sabhī ziine un chhatoñ ke 'zubair'
jahāñ jahāñ se tirā ghar dikhā.ī detā hai
shafaq-sifat jo paikar dikhai deta hai
har ek nigah ka mahwar dikhai deta hai
udhar khuli koi khiDki na koi darwaza
jahan se aag ka manzar dikhai deta hai
chalo ki nili fazaon mein baadban kholen
safar-nawaz samundar dikhai deta hai
kaTe to kaise ye andhi rifaqaton ka safar
na koi chehra na manzar dikhai deta hai
nazar na aae to sau wahm dil mein aate hain
wo ek shaKHs jo aksar dikhai deta hai
paDe hain band sabhi zine un chhaton ke 'zubair'
jahan jahan se tera ghar dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.