Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tauba ki nazishon pe sitam Dha ke pi gaya

Ehsan Danish

tauba ki nazishon pe sitam Dha ke pi gaya

Ehsan Danish

MORE BYEhsan Danish

    tauba nāzishoñ pe sitam Dhā ke gayā

    ''pī''! us ne jab kahā to maiñ ghabrā ke gayā

    dil to hai uThā.e kahāñ tak ġham-o-alam

    maiñ roz ke malāl se uktā ke gayā

    thiiñ laakh garche mahshar o marqad uljhaneñ

    gutthī ko zabt-e-shauq suljhā ke gayā

    mai-ḳhāna-e-bahār meñ muddat tishna-lab

    saaqī ḳhatā-muāf! ḳhatā khā ke gayā

    niyyat nahīñ ḳharāb na aadī huuñ ai nadīm!

    ''ālām-e-rozgār se tañg aa ke gayā''!

    saaqī ke husn-e-dīda-e-mai-gūñ ke sāmne

    maiñ jalva-e-bahisht ko Thukrā ke gayā

    uTThā jo abr dil umañgeñ chamak uThīñ

    lahrā.īñ bijliyāñ to maiñ lahrā ke gayā

    dil kuchh subūt-e-hifz-e-sharī.at na de sakā

    saaqī ke lutf-e-ḳhās pe itrā ke gayā

    tauba ki nazishon pe sitam Dha ke pi gaya

    pi! us ne jab kaha to main ghabra ke pi gaya

    dil hi to hai uThae kahan tak gham-o-alam

    main roz ke malal se ukta ke pi gaya

    thin lakh garche mahshar o marqad ki uljhanen

    gutthi ko zabt-e-shauq ki suljha ke pi gaya

    mai-KHana-e-bahaar mein muddat ka tishna-lab

    saqi KHata-muaf! KHata kha ke pi gaya

    niyyat nahin KHarab na aadi hun ai nadim!

    aalam-e-rozgar se tang aa ke pi gaya!

    saqi ke husn-e-dida-e-mai-gun ke samne

    main jalwa-e-bahisht ko Thukra ke pi gaya

    uTTha jo abr dil ki umangen chamak uThin

    lahrain bijliyan to main lahra ke pi gaya

    dil kuchh subut-e-hifz-e-shariat na de saka

    saqi ke lutf-e-KHas pe itra ke pi gaya

    Source :
    • Book : ghazluyat-e-ehsaan daanish (Pg. 99)
    • Author : shbanam parveen
    • Publication : asgar publicatin (2006)
    • Edition : 2006

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now