chhalke teri aankhon se sharab aur ziyaada
chhalke tirī āñkhoñ se sharāb aur ziyāda
khilte raheñ hoñThoñ ke gulāb aur ziyāda
kyā baat hai jaane tirī mahfil meñ sitamgar
dhaḌke hai dil-e-ḳhāna-ḳharāb aur ziyāda
is dil meñ abhī aur bhī zaḳhmoñ kī jagah hai
abrū kī kaTārī ko do aab aur ziyāda
tū ishq ke tūfān ko bāñhoñ meñ jakaḌ le
allāh kare zor-e-shabāb aur ziyāda
chhalke teri aankhon se sharab aur ziyaada
khilte rahen honThon ke gulab aur ziyaada
kya baat hai jaane teri mahfil mein sitamgar
dhaDke hai dil-e-KHana-KHarab aur ziyaada
is dil mein abhi aur bhi zaKHmon ki jagah hai
abru ki kaTari ko do aab aur ziyaada
tu ishq ke tufan ko banhon mein jakaD le
allah kare zor-e-shabab aur ziyaada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.