hairat-e-nazzara aaKHir ban gai ranaiyan
hairat-e-nazzāra āḳhir ban ga.ī ra.anā.iyāñ
ḳhaak ke zarroñ meñ aatī haiñ nazar gulzāriyāñ
jab se dekhā hai tujhe ik dard hai dil meñ nihāñ
ai sabā le jā tū hī un tak mirī bedāriyāñ
alvidā.a ai qāfile vaalo mujhe ab chhoḌ do
merī qismat meñ likhī haiñ dasht kī vīrāniyāñ
hairat-e-nazzara aaKHir ban gai ranaiyan
KHak ke zarron mein aati hain nazar gulzariyan
jab se dekha hai tujhe ek dard hai dil mein nihan
ai saba le ja tu hi un tak meri bedariyan
alwidaa ai qafile walo mujhe ab chhoD do
meri qismat mein likhi hain dasht ki viraniyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.