Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum hain mata-e-kucha-o-bazar ki tarah

Majrooh Sultanpuri

hum hain mata-e-kucha-o-bazar ki tarah

Majrooh Sultanpuri

MORE BYMajrooh Sultanpuri

    Interesting Fact

    Film: Dastak 1970

    ham haiñ mata-e-kūcha-o-bāzār tarah

    uThtī hai har nigāh ḳharīdār tarah

    is kū-e-tishnagī meñ bahut hai ki ek jaam

    haath aa gayā hai daulat-e-bedār tarah

    vo to kahīñ hai aur magar dil ke ās-pās

    phirtī hai koī shai nigah-e-yār tarah

    sīdhī hai rāh-e-shauq pe yūñhī kahīñ kahīñ

    ḳham ho ga.ī hai gesū-e-dildār tarah

    be-tesha-e-nazar na chalo rāh-e-raftagāñ

    har naqsh-e-pā buland hai dīvār tarah

    ab ke kuchh khulā hunar-e-nāḳhun-e-junūñ

    zaḳhm-e-jigar hue lab-o-ruḳhsār tarah

    'majrūh' likh rahe haiñ vo ahl-e-vafā naam

    ham bhī khaḌe hue haiñ gunahgār tarah

    hum hain mata-e-kucha-o-bazar ki tarah

    uThti hai har nigah KHaridar ki tarah

    is ku-e-tishnagi mein bahut hai ki ek jam

    hath aa gaya hai daulat-e-bedar ki tarah

    wo to kahin hai aur magar dil ke aas-pas

    phirti hai koi shai nigah-e-yar ki tarah

    sidhi hai rah-e-shauq pe yunhi kahin kahin

    KHam ho gai hai gesu-e-dildar ki tarah

    be-tesha-e-nazar na chalo rah-e-raftagan

    har naqsh-e-pa buland hai diwar ki tarah

    ab ja ke kuchh khula hunar-e-naKHun-e-junun

    zaKHm-e-jigar hue lab-o-ruKHsar ki tarah

    'majruh' likh rahe hain wo ahl-e-wafa ka nam

    hum bhi khaDe hue hain gunahgar ki tarah

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Lata Mangeshkar

    Lata Mangeshkar

    Majrooh Sultanpuri

    Majrooh Sultanpuri

    RECITATIONS

    Majrooh Sultanpuri

    Majrooh Sultanpuri,

    Shakeel Jamali

    Shakeel Jamali,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Majrooh Sultanpuri

    Majrooh Sultanpuri,

    Majrooh Sultanpuri

    hum hain mata-e-kucha-o-bazar ki tarah Majrooh Sultanpuri

    Shakeel Jamali

    hum hain mata-e-kucha-o-bazar ki tarah Shakeel Jamali

    Nomaan Shauque

    hum hain mata-e-kucha-o-bazar ki tarah Nomaan Shauque

    Majrooh Sultanpuri

    hum hain mata-e-kucha-o-bazar ki tarah Majrooh Sultanpuri

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now