jaana tha humse dur bahane bana liye
jaanā thā ham se duur bahāne banā liye
ab tum ne kitnī duur Thikāne banā liye
ruḳhsat ke vaqt tum ne jo aañsū hameñ diye
un āñsuoñ se ham ne fasāne banā liye
dil ko mile jo daaġh jigar ko mile jo dard
un daulatoñ se ham ne ḳhazāne banā liye
jaana tha hum se dur bahane bana liye
ab tum ne kitni dur Thikane bana liye
ruKHsat ke waqt tum ne jo aansu hamein diye
un aansuon se hum ne fasane bana liye
dil ko mile jo dagh jigar ko mile jo dard
un daulaton se hum ne KHazane bana liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.