Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad mein teri jag jag ke hum raat bhar karwaTen badalte hain

Shakeel Badayuni

yaad mein teri jag jag ke hum raat bhar karwaTen badalte hain

Shakeel Badayuni

yaad meñ terī jaag jaag ke ham raat bhar karvaTeñ badalte haiñ

har ghaḌī dil meñ terī ulfat ke dhīme dhīme charāġh jalte haiñ

jab se ne nigāh pherī hai din hai suunā to raat añdherī hai

chāñd bhī ab nazar nahīñ aatā ab sitāre bhī kam nikalte haiñ

luT ga.ī vo bahār mahfil chhuT ga.ī ham se pyaar manzil

zindagī udaas rāhoñ meñ terī yādoñ ke saath chalte haiñ

tujh ko kar hameñ bahār milī tujh se chhuT kar magar ye baat khulī

bāġhbāñ chaman ke phūloñ ko apne pairoñ se ḳhud masalte haiñ

kyā kaheñ tujh se kyoñ huī duurī ham samajhte haiñ apnī majbūrī

tujh ko mā'lūm kyā ki tere liye dil ke ġham āñsuoñ meñ Dhalte haiñ

yaad mein teri jag jag ke hum raat bhar karwaTen badalte hain

har ghaDi dil mein teri ulfat ke dhime dhime charagh jalte hain

jab se tu ne nigah pheri hai din hai suna to raat andheri hai

chand bhi ab nazar nahin aata ab sitare bhi kam nikalte hain

luT gai wo bahaar ki mahfil chhuT gai hum se pyar ki manzil

zindagi ki udas rahon mein teri yaadon ke sath chalte hain

tujh ko pa kar hamein bahaar mili tujh se chhuT kar magar ye baat khuli

baghban hi chaman ke phulon ko apne pairon se KHud masalte hain

kya kahen tujh se kyon hui duri hum samajhte hain apni majburi

tujh ko ma'lum kya ki tere liye dil ke gham aansuon mein Dhalte hain

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now