Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikari raat bhar baiThe rahe unchi machanon par

Akhtar Hoshiyarpuri

shikari raat bhar baiThe rahe unchi machanon par

Akhtar Hoshiyarpuri

MORE BYAkhtar Hoshiyarpuri

    shikārī raat bhar baiThe rahe ūñchī machānoñ par

    musāfir phir bhī lauT aane ko pahuñche Thikānoñ par

    kisī ne jhāñk kar dekhā na bāhar koī aayā

    havā ne umr bhar kyā kyā na dastak makānoñ par

    ḳhud apnā aks-e-ruḳh hai jo kisī ko rok le baḌh kar

    vagarna aadmī kab mustaqil Thahrā chaTānoñ par

    uThā.e āsmāñ ke dukh bhī kis meñ itnī himmat hai

    zamīñ ek bhārī hai hameñ to apnī jānoñ par

    darīchoñ ne ye manzar aaj pahlī baar dekhā hai

    ki tum jaane kahāñ the aur sūraj thā makānoñ par

    gharoñ se jab nikal aa.e to sab ne raah apnī

    magar duniyā nazreñ haiñ parindoñ uḌānoñ par

    havā yuuñ to ham ko le ke peḌoñ tak nahīñ aa.ī

    hamārā naam thā likkhā huā gandum ke dānoñ par

    ye maanā āñdhiyoñ haq hai sab par yūrisheñ karnā

    magar ye maiñ ki merī aañkh hai ḳhasta makānoñ par

    kuchh itne ho ga.e mānūs sannāToñ se ham 'aḳhtar'

    guzartī hai girāñ apnī sadā bhī ab to kānoñ par

    shikari raat bhar baiThe rahe unchi machanon par

    musafir phir bhi lauT aane ko ja pahunche Thikanon par

    kisi ne jhank kar dekha na bahar hi koi aaya

    hawa ne umr bhar kya kya na dastak di makanon par

    KHud apna aks-e-ruKH hai jo kisi ko rok le baDh kar

    wagarna aadmi kab mustaqil Thahra chaTanon par

    uThae aasman ke dukh bhi kis mein itni himmat hai

    zamin hi ek bhaari hai hamein to apni jaanon par

    darichon ne ye manzar aaj pahli bar dekha hai

    ki tum jaane kahan the aur suraj tha makanon par

    gharon se jab nikal aae to sab ne rah li apni

    magar duniya ki nazren hain parindon ki uDanon par

    hawa yun hi to hum ko le ke peDon tak nahin aai

    hamara nam tha likkha hua gandum ke danon par

    ye mana aandhiyon ka haq hai sab par yurishen karna

    magar ye main ki meri aankh hai KHasta makanon par

    kuchh itne ho gae manus sannaTon se hum 'aKHtar'

    guzarti hai giran apni sada bhi ab to kanon par

    Source :
    • Book : Monthly Usloob (Pg. 364)
    • Author : Mushfiq Khawaja
    • Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi   180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
    • Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now