sara jahan raqib bina baat ka raha
saarā jahāñ raqīb binā baat kā rahā
bekār silsila hī mulāqāt kā rahā
donoñ jahāñ meñ ġharq huā merā jhoñpaḌā
kyā daur yaar raat kī barsāt kā rahā
insān kī batā mujhe hotī hai qaum kyā
dushman har ek shaḳhs mirī zaat kā rahā
laa.iq nahīñ thā jis ke jo us ne vahī liyā
maiñ hī ġharīb thā gila is baat kā rahā
sara jahan raqib bina baat ka raha
bekar silsila hi mulaqat ka raha
donon jahan mein gharq hua mera jhonpaDa
kya daur yar raat ki barsat ka raha
insan ki bata mujhe hoti hai qaum kya
dushman har ek shaKHs meri zat ka raha
laiq nahin tha jis ke jo us ne wahi liya
main hi gharib tha gila is baat ka raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.