Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shoKHi se kashmakash nahin achchhi hijab ki

Aziz Hyderabadi

shoKHi se kashmakash nahin achchhi hijab ki

Aziz Hyderabadi

shoḳhī se kashmakash nahīñ achchhī hijāb

khul jā.egī girah tire band-e-naqāb

shīshe khule nahīñ abhī sāġhar chale nahīñ

uḌne lagī parī tarah sharāb

do din zindagī pe ilāhī ye ġhaflateñ

āñkheñ to haiñ khulī huī hālat hai ḳhvāb

hote sub.h-e-vasl shab dekhtā huuñ kyā

talvār ban ga.ī hai kiran āftāb

aatā nahīñ kasī pe dil-e-bad-gumāñ 'azīz'

jamtī nahīñ kasī pe nazar intiḳhāb

shoKHi se kashmakash nahin achchhi hijab ki

khul jaegi girah tere band-e-naqab ki

shishe khule nahin abhi saghar chale nahin

uDne lagi pari ki tarah bu sharab ki

do din ki zindagi pe ilahi ye ghaflaten

aankhen to hain khuli hui haalat hai KHwab ki

hote hi subh-e-wasl ki shab dekhta hun kya

talwar ban gai hai kiran aaftab ki

aata nahin kasi pe dil-e-bad-guman 'aziz'

jamti nahin kasi pe nazar intiKHab ki

Source :
  • Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 266)
  • Author : Hasrat Mohani
  • Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
  • Edition : 1983
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now