Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sitara to kabhi ka jal-bujha hai

Wazir Agha

sitara to kabhi ka jal-bujha hai

Wazir Agha

sitāra to kabhī jal-bujhā hai

ye aañsū tirī palkoñ pe kyā hai

daraḳhtoñ ko to chup honā thā ik din

parindoñ ko magar kyā ho gayā hai

dhanak dīvār ke raste meñ haa.il

vagarna jast-bhar fāsla hai

use band aañkh se maiñ dekh to luuñ

magar phir umr-bhar fāsla hai

chalo apnī bhī jānib ab chaleñ ham

ye rasta der se suunā paḌā hai

sitara to kabhi ka jal-bujha hai

ye aansu sa teri palkon pe kya hai

daraKHton ko to chup hona tha ek din

parindon ko magar kya ho gaya hai

dhanak diwar ke raste mein hail

wagarna jast-bhar ka fasla hai

use band aankh se main dekh to lun

magar phir umr-bhar ka fasla hai

chalo apni bhi jaanib ab chalen hum

ye rasta der se suna paDa hai

Source :
  • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 221)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now