Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega

Iftikhar Arif

sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega

Iftikhar Arif

sitāroñ se bharā ye āsmāñ kaisā lagegā

hamāre ba.ad tum ko ye jahāñ kaisā lagegā

thake-hāre hue sūraj bhīgī raushnī meñ

havāoñ se ulajhtā bādbāñ kaisā lagegā

jame qadmoñ ke nīche se phisaltī jā.egī ret

bikhar jā.egī jab umr-e-ravāñ kaisā lagegā

isī miTTī meñ mil jā.egī pūñjī umr bhar

giregī jis ghaḌī dīvār-e-jāñ kaisā lagegā

bahut itrā rahe ho dil baazī jītne par

ziyāñ ba.ad az ziyāñ ba.ad az ziyāñ kaisā lagegā

vo jis ke ba.ad hogī ik musalsal be-niyāzī

ghaḌī bhar vo sab shor o fuġhāñ kaisā lagegā

abhī se kyā batā.eñ marg-e-majnūñ ḳhabar par

sulūk-e-kūcha-e-nā-mehrbāñ kaisā lagegā

batāo to sahī ai jān-e-jāñ kaisā lagegā

sitāroñ se bharā ye āsmāñ kaisā lagegā

sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega

hamare baad tum ko ye jahan kaisa lagega

thake-haare hue suraj ki bhigi raushni mein

hawaon se ulajhta baadban kaisa lagega

jame qadmon ke niche se phisalti jaegi ret

bikhar jaegi jab umr-e-rawan kaisa lagega

isi miTTi mein mil jaegi punji umr bhar ki

giregi jis ghaDi diwar-e-jaan kaisa lagega

bahut itra rahe ho dil ki bazi jitne par

ziyan baad az ziyan baad az ziyan kaisa lagega

wo jis ke baad hogi ek musalsal be-niyazi

ghaDi bhar ka wo sab shor o fughan kaisa lagega

abhi se kya bataen marg-e-majnun ki KHabar par

suluk-e-kucha-e-na-mehrban kaisa lagega

batao to sahi ai jaan-e-jaan kaisa lagega

sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega

RECITATIONS

Iftikhar Arif

Iftikhar Arif,

00:00/00:00
Iftikhar Arif

sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega Iftikhar Arif

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now