Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

so raha hun main ki ye jaga hua sa KHwab hai

Kavish Badri

so raha hun main ki ye jaga hua sa KHwab hai

Kavish Badri

so rahā huuñ maiñ ki ye jaagā huā ḳhvāb hai

lā-shu'ūrī vus'atoñ meñ ūñghtā ḳhvāb hai

muḳhtasar haiñ zindagī ke din magar rāteñ tavīl

bevafā āñkhoñ ko hāsil bā-vafā ḳhvāb hai

ek manzar ko mukammal dekhtā hai kaun ab

koī suntā hai kahāñ kyā gūñjtā ḳhvāb hai

naag hai sāya-fagan sar par huuñ maiñ mahv-e-ḳhirām

mujh apāhij ko mayassar shankar-āsā ḳhvāb hai

shā'irī meñ anfus o āfāq mub.ham haiñ abhī

isti'āra haqīqat meñ ḳhudā ḳhvāb hai

ḳhaam hai 'kāvish' hamārā ḳhvāb din meñ dekhnā

shaiḳh-chillī aur sab be-tukā ḳhvāb hai

so raha hun main ki ye jaga hua sa KHwab hai

la-shu'uri wus'aton mein unghta sa KHwab hai

muKHtasar hain zindagi ke din magar raaten tawil

bewafa aankhon ko hasil ba-wafa sa KHwab hai

ek manzar ko mukammal dekhta hai kaun ab

koi sunta hai kahan kya gunjta sa KHwab hai

nag hai saya-fagan sar par hun main mahw-e-KHiram

mujh apahij ko mayassar shankar-asa KHwab hai

sha'iri mein anfus o aafaq mubham hain abhi

isti'ara hi haqiqat mein KHuda sa KHwab hai

KHam hai 'kawish' hamara KHwab din mein dekhna

shaiKH-chilli aur sab ka be-tuka sa KHwab hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now