Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sote hain wo aaina le kar KHwabon mein baal banate hain

Ghulam Mohammad Qasir

sote hain wo aaina le kar KHwabon mein baal banate hain

Ghulam Mohammad Qasir

MORE BYGhulam Mohammad Qasir

    sote haiñ vo ā.īna le kar ḳhvāboñ meñ baal banāte haiñ

    saada se parinde ḳhātir kyā reshmī jaal banāte haiñ

    ummīd sūkhtī shāḳhoñ se saare patte jhaḌ jā.eñge

    is ḳhauf se apnī tasvīreñ ham sāl-ba-sāl banāte haiñ

    zaḳhmoñ ko chhupāne ḳhātir kapḌe badalnā chhoḌ diyā

    pūchho to sahī ham kis ke liye apnā ye haal banāte haiñ

    vo boltī āñkheñ milte jhuk jaatī haiñ ḳhāmoshī se

    ham un ke javāb se phir apnā ik aur savāl banāte haiñ

    sote hain wo aaina le kar KHwabon mein baal banate hain

    sada se parinde ki KHatir kya reshmi jal banate hain

    ummid ki sukhti shaKHon se sare patte jhaD jaenge

    is KHauf se apni taswiren hum sal-ba-sal banate hain

    zaKHmon ko chhupane ki KHatir kapDe hi badalna chhoD diya

    puchho to sahi hum kis ke liye apna ye haal banate hain

    wo bolti aankhen milte hi jhuk jati hain KHamoshi se

    hum un ke jawab se phir apna ek aur sawal banate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now