Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh tak main sochta hun sham se

Ameer Qazalbash

subh tak main sochta hun sham se

Ameer Qazalbash

sub.h tak maiñ sochtā huuñ shaam se

rahā hai kaun mere naam se

shahr meñ sach boltā phirtā huuñ maiñ

log ḳhā.if haiñ mire anjām se

raat bhar jāgegā chaukī-dār ek

aur sab so jā.eñge ārām se

sau baras ho gayā merā mazār

ab navāzā jā.ūñ in.aam se

saath lā.ūñgā thakan be-kār

ghar se bāhar rahā huuñ kaam se

naam le us safar āġhāz kar

duur rakh dil ko zarā auhām se

zindagī dauḌ meñ pīchhe na thā

rah gayā vo sirf do ik gaam se

subh tak main sochta hun sham se

ji raha hai kaun mere nam se

shahr mein sach bolta phirta hun main

log KHaif hain mere anjam se

raat bhar jagega chauki-dar ek

aur sab so jaenge aaram se

sau baras ka ho gaya mera mazar

ab nawaza jaun ga inam se

sath launga thakan be-kar ki

ghar se bahar ja raha hun kaam se

nam le us ka safar aaghaz kar

dur rakh dil ko zara auham se

zindagi ki dauD mein pichhe na tha

rah gaya wo sirf do ek gam se

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now