Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suKHan-e-haq ko fazilat nahin milne wali

Iftikhar Arif

suKHan-e-haq ko fazilat nahin milne wali

Iftikhar Arif

MORE BYIftikhar Arif

    suḳhan-e-haq ko fazīlat nahīñ milne vaalī

    sabr par dād-e-shujā.at nahīñ milne vaalī

    vaqt-e-mālūm dahshat se laraztā huā dil

    Duubā jaatā hai ki mohlat nahīñ milne vaalī

    zindagī nazr guzārī to milī chādar-e-ḳhāk

    is se kam par to ye ne.amat nahīñ milne vaalī

    raas aane lagī duniyā to kahā dil ne ki

    ab tujhe dard daulat nahīñ milne vaalī

    havas-e-luqma-e-tar khā ga.ī lahje jalāl

    ab kisī harf ko hurmat nahīñ milne vaalī

    ghar se nikle hue beToñ muqaddar ma.alūm

    maañ ke qadmoñ meñ bhī jannat nahīñ milne vaalī

    zindagī bhar kamā.ī yahī misre do-chār

    is kamā.ī pe to izzat nahīñ milne vaalī

    suKHan-e-haq ko fazilat nahin milne wali

    sabr par dad-e-shujaat nahin milne wali

    waqt-e-malum ki dahshat se larazta hua dil

    Duba jata hai ki mohlat nahin milne wali

    zindagi nazr guzari to mili chadar-e-KHak

    is se kam par to ye neamat nahin milne wali

    ras aane lagi duniya to kaha dil ne ki ja

    ab tujhe dard ki daulat nahin milne wali

    hawas-e-luqma-e-tar kha gai lahje ka jalal

    ab kisi harf ko hurmat nahin milne wali

    ghar se nikle hue beTon ka muqaddar malum

    man ke qadmon mein bhi jannat nahin milne wali

    zindagi bhar ki kamai yahi misre do-chaar

    is kamai pe to izzat nahin milne wali

    RECITATIONS

    Iftikhar Arif

    Iftikhar Arif,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Iftikhar Arif

    suKHan-e-haq ko fazilat nahin milne wali Iftikhar Arif

    Nomaan Shauque

    suKHan-e-haq ko fazilat nahin milne wali Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now