Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suKHan raaz-e-nashat-o-gham ka parda ho hi jata hai

Shaz Tamkanat

suKHan raaz-e-nashat-o-gham ka parda ho hi jata hai

Shaz Tamkanat

MORE BYShaz Tamkanat

    suḳhan rāz-e-nashāt-o-ġham parda ho jaatā hai

    ġhazal kah leñ to bojh halkā ho jaatā hai

    vo aalam jab kisī māyūs hotā nahīñ koī

    tujhe ma.alūm bhī hai kisī ho jaatā hai

    kiyā hai maiñ ne iz.hār-e-tamannā jaane kis kis se

    mujhe aksar tirī sūrat dhokā ho jaatā hai

    hujūm-e-ārzū hamrāh-e-jān-o-dil sahī lekin

    qarīb-e-kū-e-jānāñ koī tanhā ho jaatā hai

    hameñ to umr-bhar ġham ki aisā kyuuñ huā hogā

    hameñ ab kaun samjhā.e ki aisā ho jaatā hai

    koī tujh nahīñ hai anjuman-dar-anjuman dekhā

    magar tanhā.iyoñ meñ koī tujh ho jaatā hai

    na ro yuuñ 'shāz' āñkheñ jo dikhā.eñ dekhte jaao

    na itnā ġham karo ye dil hai sahrā ho jaatā hai

    suKHan raaz-e-nashat-o-gham ka parda ho hi jata hai

    ghazal kah len to ji ka bojh halka ho hi jata hai

    wo aalam jab kisi mayus ka hota nahin koi

    tujhe malum bhi hai tu kisi ka ho hi jata hai

    kiya hai main ne izhaar-e-tamanna jaane kis kis se

    mujhe aksar teri surat ka dhoka ho hi jata hai

    hujum-e-arzu hamrah-e-jaan-o-dil sahi lekin

    qarib-e-ku-e-jaanan koi tanha ho hi jata hai

    hamein to umr-bhar ka gham ki aisa kyun hua hoga

    hamein ab kaun samjhae ki aisa ho hi jata hai

    koi tujh sa nahin hai anjuman-dar-anjuman dekha

    magar tanhaiyon mein koi tujh sa ho hi jata hai

    na ro yun 'shaz' aankhen jo dikhaen dekhte jao

    na itna gham karo ye dil hai sahra ho hi jata hai

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Shaz Tamkanat (Pg. 277)
    • Author : Shaz Tamkanat
    • Publication : Educational Publishing House (2004)
    • Edition : 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now