suno ab hum mohabbat mein bahut aage nikal aae
suno ab ham mohabbat meƱ bahut aage nikal aa.e
ki ik raste pe chalte chalte sau raste nikal aa.e
agarche kam na thii, chÄrÄ-garÄn-e-shahr kÄ« pursish
magar! kuchh zaįø³hm-e-nÄ-dÄ«da bahut gahre nikal aa.e
mohabbat kī to koī had, koī sarhad nahīƱ hotī
hamÄre darmiyÄƱ ye fÄsle, kaise nikal aa.e
bahut din tak hisÄr-e-nashsha yaktÄ.Ä« meƱ rakkhÄ
phir is chehre ke andar bhī ka.ī chehre nikal aa.e
purÄne zaįø³hm bharte hii, na.e zaįø³hmoƱ ke shaidÄ.Ä«
mizÄj-e-Ä.ina oįøhe hue ghar se nikal aa.e
tazÄd-e-zÄt ke baa.is khulÄ vo kam-suįø³han aisÄ
adhūrī baat ke mafhūm bhī puure nikal aa.e
suno ab hum mohabbat mein bahut aage nikal aae
ki ek raste pe chalte chalte sau raste nikal aae
agarche kam na thi, chaara-garan-e-shahr ki pursish
magar! kuchh zaKHm-e-na-dida bahut gahre nikal aae
mohabbat ki to koi had, koi sarhad nahin hoti
hamare darmiyan ye fasle, kaise nikal aae
bahut din tak hisar-e-nashsha yaktai mein rakkha
phir is chehre ke andar bhi kai chehre nikal aae
purane zaKHm bharte hi, nae zaKHmon ke shaidai
mizaj-e-aina oDhe hue ghar se nikal aae
tazad-e-zat ke bais khula wo kam-suKHan aisa
adhuri baat ke mafhum bhi pure nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.