Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tab usne meri chhanw ka ehsan liya hai

Afzal Gauhar Rao

tab usne meri chhanw ka ehsan liya hai

Afzal Gauhar Rao

MORE BYAfzal Gauhar Rao

    tab us ne mirī chhāñv ehsān liyā hai

    jab mujh ko parindoñ ne shajar maan liyā hai

    Dartā huuñ zamīñ is burā maan na jaa.e

    thoḌā falak sar pe agar taan liyā hai

    āvāra-mizājī tasallī nahīñ hotī

    maiñ ne to tirā saarā jahāñ chhān liyā hai

    bas hukm milā aur nikal aa.e vahāñ se

    chalte hue ujlat meñ sāmān liyā hai

    ye ziist to 'gauhar' mujhe virse meñ milī thī

    duniyā ne magar is bhī tāvān liyā hai

    tab us ne meri chhanw ka ehsan liya hai

    jab mujh ko parindon ne shajar man liya hai

    Darta hun zamin is ka bura man na jae

    thoDa sa falak sar pe agar tan liya hai

    aawara-mizaji ki tasalli nahin hoti

    main ne to tera sara jahan chhan liya hai

    bas hukm mila aur nikal aae wahan se

    chalte hue ujlat mein hi saman liya hai

    ye zist to 'gauhar' mujhe wirse mein mili thi

    duniya ne magar is ka bhi tawan liya hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now