talash karne pe milta nahin pata us ka
talāsh karne pe miltā nahīñ pata us kā
rah-e-badan pe dikhā.ī de naqsh-e-pā us kā
ajiib shaḳhs thā ḳhud apne dukh banātā thā
dil-o-dimāġh pe kuchh din asar rahā us kā
badan charāġh meñ bujhtā huā dil-e-māyūs
qayāmat us ke tale shab guzārnā us kā
phir us ke baa'd koī aur dukh banā hī nahīñ
tabāh-kun thā faqat kun pukārnā us kā
vo ab kisī se bhī kartī nahīñ hai baat us kī
vo ab kisī se nahīñ haal pūchhtā us kā
talash karne pe milta nahin pata us ka
rah-e-badan pe dikhai de naqsh-e-pa us ka
ajib shaKHs tha KHud apne dukh banata tha
dil-o-dimagh pe kuchh din asar raha us ka
badan charagh mein bujhta hua dil-e-mayus
qayamat us ke tale shab guzarna us ka
phir us ke ba'd koi aur dukh bana hi nahin
tabah-kun tha faqat kun pukarna us ka
wo ab kisi se bhi karti nahin hai baat us ki
wo ab kisi se nahin haal puchhta us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.