Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam rasta phulon bhara hai mere liye

Rajinder Manchanda Bani

tamam rasta phulon bhara hai mere liye

Rajinder Manchanda Bani

tamām rāsta phūloñ bharā hai mere liye

kahīñ to koī duā māñgtā hai mere liye

tamām shahr hai dushman to kyā hai mere liye

maiñ jāntā huuñ tirā dar khulā hai mere liye

mujhe bichhaḌne ġham to rahegā ham-safro

magar safar taqāzā judā hai mere liye

vo ek aks ki pal bhar nazar meñ Thahrā thā

tamām umr ab silsila hai mere liye

ajiib darguzarī shikār huuñ ab tak

koī karam hai na koī sazā hai mere liye

guzar sakūñgā na is ḳhvāb ḳhvāb bastī se

yahāñ miTTī bhī zanjīr-e-pā hai mere liye

ab aap jā.ūñ to kar use sameTūñ maiñ

tamām silsila bikhrā paḌā hai mere liye

ye husn-e-ḳhatm-e-safar ye tilism-ḳhāna-e-rañg

ki aañkh jhapkūñ to manzar nayā hai mere liye

ye kaise koh ke andar maiñ dafn thā 'bānī'

vo abr ban ke barastā rahā hai mere liye

tamam rasta phulon bhara hai mere liye

kahin to koi dua mangta hai mere liye

tamam shahr hai dushman to kya hai mere liye

main jaanta hun tera dar khula hai mere liye

mujhe bichhaDne ka gham to rahega ham-safro

magar safar ka taqaza juda hai mere liye

wo ek aks ki pal bhar nazar mein Thahra tha

tamam umr ka ab silsila hai mere liye

ajib darguzari ka shikar hun ab tak

koi karam hai na koi saza hai mere liye

guzar sakunga na is KHwab KHwab basti se

yahan ki miTTi bhi zanjir-e-pa hai mere liye

ab aap jaun to ja kar use sameTun main

tamam silsila bikhra paDa hai mere liye

ye husn-e-KHatm-e-safar ye tilism-KHana-e-rang

ki aankh jhapkun to manzar naya hai mere liye

ye kaise koh ke andar main dafn tha 'bani'

wo abr ban ke barasta raha hai mere liye

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

tamam rasta phulon bhara hai mere liye Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now