Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam shahr mein tira-shabi ka charcha tha

Mansoora Ahmad

tamam shahr mein tira-shabi ka charcha tha

Mansoora Ahmad

MORE BYMansoora Ahmad

  tamām shahr meñ tīra-shabī charchā thā

  ye aur baat ki sūraj ufuq pe niklā thā

  ajiib vaj.h-e-mulāqāt thī mirī us se

  ki vo bhī merī tarah shahr meñ akelā thā

  maiñ sab samajhtī rahī aur muskurātī rahī

  mirā mizāj azal se payambaroñ thā

  maiñ us ko kho ke bhī us ko pukārtī rahī

  ki saarā rabt to āvāz ke safar thā

  maiñ gul-parast bhī gul se nibāh kar na sakī

  shu.ūr-e-zāt kāñTā bahut nukīlā thā

  sab ehtisāb meñ gum the hujūm-e-yārāñ meñ

  ḳhudā tarah mirā jurm-e-ishq tanhā thā

  vo tere qurb lamha thā koī ilhām

  ki us ke lams se dil meñ gulāb khiltā thā

  mujhe bhī mere ḳhudā kulfatoñ ajr mile

  tujhe zamīñ pe baḌe karb se utārā thā

  tamam shahr mein tira-shabi ka charcha tha

  ye aur baat ki suraj ufuq pe nikla tha

  ajib wajh-e-mulaqat thi meri us se

  ki wo bhi meri tarah shahr mein akela tha

  main sab samajhti rahi aur muskuraati rahi

  mera mizaj azal se payambaron sa tha

  main us ko kho ke bhi us ko pukarti hi rahi

  ki sara rabt to aawaz ke safar ka tha

  main gul-parast bhi gul se nibah kar na saki

  shuur-e-zat ka kanTa bahut nukila tha

  sab ehtisab mein gum the hujum-e-yaran mein

  KHuda ki tarah mera jurm-e-ishq tanha tha

  wo tere qurb ka lamha tha ya koi ilham

  ki us ke lams se dil mein gulab khilta tha

  mujhe bhi mere KHuda kulfaton ka ajr mile

  tujhe zamin pe baDe karb se utara tha

  Source :
  • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 203)
  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now