Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam umr ki tanhai ki saza de kar

Adeem Hashmi

tamam umr ki tanhai ki saza de kar

Adeem Hashmi

tamām umr tanhā.ī sazā de kar

taḌap uThā mirā munsif bhī faisla de kar

maiñ ab marūñ ki jiyūñ mujh ko ye ḳhushī hai bahut

use sukūñ to milā mujh ko bad-duā de kar

maiñ us ke vāste sūraj talāsh kartā huuñ

jo so gayā mirī āñkhoñ ko rat-jagā de kar

vo raat raat mehmāñ to umr bhar ke liye

chalā gayā mujhe yādoñ silsila de kar

jo kiyā bhī darīcha to aaj mausam ne

pahāḌ Dhāñp diyā abr ridā de kar

kaTī huī hai zamīñ koh se samundar tak

milā hai ghaav ye dariyā ko rāsta de kar

chaTaḳh chaTaḳh ke jalī shāḳh shāḳh jañgal

bahut sharār milā aag ko havā de kar

phir is ke ba.ad pahāḌ us ko ḳhud pukāreñge

lauT aa use vaadī meñ ik sadā de kar

sutūn-e-reg na Thahrā 'adīm' chhat ke tale

maiñ Dah gayā huuñ ḳhud apne ko aasrā de kar

tamam umr ki tanhai ki saza de kar

taDap uTha mera munsif bhi faisla de kar

main ab marun ki jiyun mujh ko ye KHushi hai bahut

use sukun to mila mujh ko bad-dua de kar

main us ke waste suraj talash karta hun

jo so gaya meri aankhon ko rat-jaga de kar

wo raat raat ka mehman to umr bhar ke liye

chala gaya mujhe yaadon ka silsila de kar

jo wa kiya bhi daricha to aaj mausam ne

pahaD Dhanp diya abr ki rida de kar

kaTi hui hai zamin koh se samundar tak

mila hai ghaw ye dariya ko rasta de kar

chaTaKH chaTaKH ke jali shaKH shaKH jangal ki

bahut sharar mila aag ko hawa de kar

phir is ke baad pahaD us ko KHud pukarenge

tu lauT aa use wadi mein ek sada de kar

sutun-e-reg na Thahra 'adim' chhat ke tale

main Dah gaya hun KHud apne ko aasra de kar

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

tamam umr ki tanhai ki saza de kar Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now