Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kam-sini aur shabab ka aalam

Boom Merathi

kam-sini aur shabab ka aalam

Boom Merathi

MORE BYBoom Merathi

    kam-sinī aur shabāb aalam

    hai buḌhāpe meñ ḳhvāb aalam

    pā.eḳhāna meñ dekh letā huuñ

    roz us be-hijāb aalam

    mast āñkheñ thiiñ chaal matvālī

    be-piye aur sharāb aalam

    vasl shab rahegī barsoñ yaad

    aur us be-hijāb aalam

    ek bose pe saiñkaḌoñ juute

    ye javāb-ul-javāb aalam

    vasl shab meñ kyā karūñ tadbīr

    hai ajab pech-o-tāb aalam

    us taraf to hai kam-sinī us

    is taraf hai shabāb aalam

    apne ashkoñ meñ bah rahā huuñ maiñ

    uf ye chashm-e-pur-āb aalam

    aisī piirī se laakh behtar thā

    TuuTā phūTā shabāb aalam

    na gino bosa vasl shab meñ

    aaj hai be-hisāb aalam

    hai duā 'būm' hazāroñ saal

    rahe tum par shabāb aalam

    kam-sini aur shabab ka aalam

    hai buDhape mein KHwab ka aalam

    paeKHana mein dekh leta hun

    roz us be-hijab ka aalam

    mast aankhen thin chaal matwali

    be-piye aur sharab ka aalam

    wasl ki shab rahegi barson yaad

    aur us be-hijab ka aalam

    ek bose pe sainkaDon jute

    ye jawab-ul-jawab ka aalam

    wasl ki shab mein kya karun tadbir

    hai ajab pech-o-tab ka aalam

    us taraf to hai kam-sini us ki

    is taraf hai shabab ka aalam

    apne ashkon mein bah raha hun main

    uf ye chashm-e-pur-ab ka aalam

    aisi piri se lakh behtar tha

    TuTa phuTa shabab ka aalam

    na gino bosa wasl ki shab mein

    aaj hai be-hisab ka aalam

    hai dua 'bum' ki hazaron sal

    rahe tum par shabab ka aalam

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Boom (Pg. 38)

      • Publisher: Jawahar Book Depot, Meerut
      • Year of Publication: 1980

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now