Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

do-rangi KHub nain yak-rang ho ja

Siraj Aurangabadi

do-rangi KHub nain yak-rang ho ja

Siraj Aurangabadi

do-rañgī ḳhuub na.iiñ yak-rañg ho

sarāpā mom ho sañg ho

tujhe jyuuñ ġhuncha gar hai dard

lahū ghūñT dil-tañg ho

kahā kis tarah dil ne tujh kuuñ ai ġham

ki dil aarsī par zañg ho

yahī aahoñ ke tāroñ meñ sadā hai

ki bār-e-ġham siiñ ḳham jyuuñ chañg ho

duā hai ai rah-e-ġham tūl-e-umr

qadam par hai to sau farsañg ho

gale meñ Daal rusvā.ī alfī

alif khiñch aah be-nañg ho

birah aag meñ sābit-qadam chal

'sirāj' ab sham.a ham-rañg ho

do-rangi KHub nain yak-rang ho ja

sarapa mom ho ya sang ho ja

tujhe jyun ghuncha gar hai dard ki bu

lahu ka ghunT pi dil-tang ho ja

kaha kis tarah dil ne tujh kun ai gham

ki dil ki aarsi par zang ho ja

yahi aahon ke taron mein sada hai

ki bar-e-gham sin KHam jyun chang ho ja

dua hai ai rah-e-gham tul-e-umr ka

qadam par hai to sau farsang ho ja

gale mein Dal ruswai ki alfi

alif khinch aah ka be-nang ho ja

birah ki aag mein sabit-qadam chal

'siraj' ab shama ka ham-rang ho ja

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 342)
  • Author : Siraj Aurangabadi
  • Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
  • Edition : 1982,1998

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now