Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum aap hi ko apna maqsud jaante hain

Meer Taqi Meer

hum aap hi ko apna maqsud jaante hain

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ham aap ko apnā maqsūd jānte haiñ

    apne sivā.e kis ko maujūd jānte haiñ

    ijz-o-niyāz apnā apnī taraf hai saarā

    is musht-e-ḳhāk ko ham masjūd jānte haiñ

    sūrat-pazīr ham bin hargiz nahīñ ve maane

    ahl-e-nazar hamīñ ko ma.abūd jānte haiñ

    ishq un aql ko hai jo mā-sivā hamāre

    nāchīz jānte haiñ nā-būd jānte haiñ

    apnī sair karne ham jalva-gar hue the

    is ramz ko va-lekin mādūd jānte haiñ

    yārab kase hai naaqa har ġhuncha is chaman

    rāh-e-vafā ko ham to masdūd jānte haiñ

    ye zulm-e-be-nihāyat dushvār-tar ki ḳhūbāñ

    bad-vaz.iyoñ ko apnī mahmūd jānte haiñ

    kyā jaane daab sohbat az ḳhvesh raftagāñ

    majlis meñ shaiḳh-sāhib kuchh kuud jānte haiñ

    mar kar bhī haath aave to 'mīr' muft hai vo

    ke ziyān ko bhī ham suud jānte haiñ

    hum aap hi ko apna maqsud jaante hain

    apne siwae kis ko maujud jaante hain

    ijz-o-niyaz apna apni taraf hai sara

    is musht-e-KHak ko hum masjud jaante hain

    surat-pazir hum bin hargiz nahin we mane

    ahl-e-nazar hamin ko mabud jaante hain

    ishq un ki aql ko hai jo ma-siwa hamare

    nachiz jaante hain na-bud jaante hain

    apni hi sair karne hum jalwa-gar hue the

    is ramz ko wa-lekin madud jaante hain

    yarab kase hai naqa har ghuncha is chaman ka

    rah-e-wafa ko hum to masdud jaante hain

    ye zulm-e-be-nihayat dushwar-tar ki KHuban

    bad-waziyon ko apni mahmud jaante hain

    kya jaane dab sohbat az KHwesh raftagan ka

    majlis mein shaiKH-sahib kuchh kud jaante hain

    mar kar bhi hath aawe to 'mir' muft hai wo

    ji ke ziyan ko bhi hum sud jaante hain

    RECITATIONS

    Ahmad Mahfuz

    Ahmad Mahfuz,

    Ahmad Mahfuz

    hum aap hi ko apna maqsud jaante hain Ahmad Mahfuz

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now