Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tha bahana mujhe zanjir ke hil jaane ka

Siraj Aurangabadi

tha bahana mujhe zanjir ke hil jaane ka

Siraj Aurangabadi

thā bahāna mujhe zanjīr ke hil jaane

chhoḌ dev ab to havā shauq nikal jaane

sang-dil ne dil-e-nāzuk kuuñ mire chuur kiyā

kyā irāda thā use shīsha-mahal jaane

mat karo sham' kuuñ badnām jalātī vo nahīñ

aap siiñ shauq patañgoñ kuuñ hai jal jaane

āfrīñ dil kuuñ mire ḳhuub bajā kaam aayā

sach sipāhī ko baḌā nañg hai Tal jaane

sho.ala-rū jām-ba-kaf bazm meñ aatā hai 'sirāj'

gardan-e-sham.a kuuñ kyā baak hai Dhal jaane

tha bahana mujhe zanjir ke hil jaane ka

chhoD dew ab to hawa shauq nikal jaane ka

sang-dil ne dil-e-nazuk kun mere chur kiya

kya irada tha use shisha-mahal jaane ka

mat karo sham' kun badnam jalati wo nahin

aap sin shauq patangon kun hai jal jaane ka

aafrin dil kun mere KHub baja kaam aaya

sach sipahi ko baDa nang hai Tal jaane ka

shoala-ru jam-ba-kaf bazm mein aata hai 'siraj'

gardan-e-shama kun kya bak hai Dhal jaane ka

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 293)
  • Author : Siraj Aurangabadi
  • Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
  • Edition : 1982,1998
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now