Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

thoDi si shohrat bhi mili hai thoDi si badnami bhi

Qaisar Shameem

thoDi si shohrat bhi mili hai thoDi si badnami bhi

Qaisar Shameem

thoḌī shohrat bhī milī hai thoḌī badnāmī bhī

merī sīrat meñ ai 'qaisar' ḳhūbī bhī hai ḳhāmī bhī

kitne āshiq sambhal ga.e haiñ merā fasāna sun sun kar

mere haq meñ jaisī bhī ho kaam hai nākāmī bhī

mahfil mahfil zikr hamārā soch samajh ke kar vaa.iz

apne muḳhālif bhī haiñ kitne aur haiñ kitne haamī bhī

aisā to mumkin nahīñ hai chāñd meñ koī daaġh na ho

jis meñ hogī kuchh bhī ḳhūbī us meñ hogī ḳhāmī bhī

merā maz.hab ishq maz.hab jis meñ koī tafrīq nahīñ

mere halqe meñ aate haiñ 'tulsī' bhī aur 'jāmī' bhī

yuuñ to sukūñ ke lamhe 'qaisar' hote haiñ anmol bahut

lekin apne kaam aatī hai dil be-ārāmī bhī

thoDi si shohrat bhi mili hai thoDi si badnami bhi

meri sirat mein ai 'qaisar' KHubi bhi hai KHami bhi

kitne aashiq sambhal gae hain mera fasana sun sun kar

mere haq mein jaisi bhi ho kaam ki hai nakaami bhi

mahfil mahfil zikr hamara soch samajh ke kar waiz

apne muKHalif bhi hain kitne aur hain kitne hami bhi

aisa to mumkin hi nahin hai chand mein koi dagh na ho

jis mein hogi kuchh bhi KHubi us mein hogi KHami bhi

mera mazhab ishq ka mazhab jis mein koi tafriq nahin

mere halqe mein aate hain 'tulsi' bhi aur 'jami' bhi

yun to sukun ke lamhe 'qaisar' hote hain anmol bahut

lekin apne kaam aati hai dil ki be-arami bhi

Source :
  • Book : Tridhara (Pg. 15)
  • Author : Dr. Hari Kunwar Rai 'Kunwar'
  • Publication : Dishantar Parkashan (1996)
  • Edition : 1996
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now