Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tera hai kaam kaman mein use lagane tak

Iftikhar Naseem

tera hai kaam kaman mein use lagane tak

Iftikhar Naseem

tirā hai kaam kamāñ meñ use lagāne tak

ye tiir ḳhud chalā jā.egā nishāne tak

maiñ shīsha kyuuñ na banā aadmī huā kyūñkar

mujhe to umr lagī TuuT phuuT jaane tak

ga.e huoñ ne palaT kar sadā na mujh ko

maiñ kitnī baar gayā ġhaar ke dahāne tak

tujhe to apne paroñ par e'tibār nahīñ

kaise aa.egā uḌ kar mire zamāne tak

kiyā thā faisla buniyād-e-āshiyāñ 'nasīm'

havā.eñ tinke uḌā lā.īñ āshiyāne tak

tera hai kaam kaman mein use lagane tak

ye tir KHud hi chala jaega nishane tak

main shisha kyun na bana aadmi hua kyunkar

mujhe to umr lagi TuT phuT jaane tak

gae huon ne palaT kar sada na di mujh ko

main kitni bar gaya ghaar ke dahane tak

tujhe to apne paron par hi e'tibar nahin

tu kaise aaega uD kar mere zamane tak

kiya tha faisla buniyaad-e-ashiyan ka 'nasim'

hawaen tinke uDa lain aashiyane tak

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

tera hai kaam kaman mein use lagane tak Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now