Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tera KHayal agar juzw-e-zindagi na rahe

Mahmood Ghazni

tera KHayal agar juzw-e-zindagi na rahe

Mahmood Ghazni

tirā ḳhayāl agar juzv-e-zindagī na rahe

jahāñ meñ mere liye koī dilkashī na rahe

maiñ aa gayā huuñ vahāñ tak tirī tamannā meñ

jahāñ se koī bhī imkān-e-vāpsī na rahe

Thiik kahtā hai ai dost Thiik kahtā hai

ki ham qābil-e-tajdīd-e-dostī na rahe

huzūr yaad hai maidān-e-hashr va.ada

kahīñ vahāñ bhī mirī aañkh DhūñDhtī na rahe

mirā to ḳhair azal se ġham muqaddar hai

tirī nigāh pahchān be-ruḳhī na rahe

is tarah se lipaT charāġh lau se

ki ba.ad-e-marg yahāñ terī raakh bhī na rahe

kisī ke hijr mausam azaab hai 'ġhaznī'

kabhī kabhī to maiñ kahtā huuñ zindagī na rahe

tera KHayal agar juzw-e-zindagi na rahe

jahan mein mere liye koi dilkashi na rahe

main aa gaya hun wahan tak teri tamanna mein

jahan se koi bhi imkan-e-wapsi na rahe

tu Thik kahta hai ai dost Thik kahta hai

ki hum hi qabil-e-tajdid-e-dosti na rahe

huzur yaad hai maidan-e-hashr ka wada

kahin wahan bhi meri aankh DhunDhti na rahe

mera to KHair azal hi se gham muqaddar hai

teri nigah ki pahchan be-ruKHi na rahe

tu is tarah se lipaT ja charagh ki lau se

ki baad-e-marg yahan teri rakh bhi na rahe

kisi ke hijr ka mausam azab hai 'ghazni'

kabhi kabhi to main kahta hun zindagi na rahe

Source :
  • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 196)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now