teri jaanib se dil mein waswase hain
tirī jānib se dil meñ vasvase haiñ
ye kutte raat bhar bhoñkā kiye haiñ
libās-e-dard bhī ham ne utārā
ye kapḌe ab purāne ho chuke haiñ
utāreñ keñchulī ab talḳh jazbāt
ki vo apne meñ ghuT kar rah ga.e haiñ
na ho māyūs ḳhushk ā.ankhoñ se ai dil
ki sahrāoñ meñ bhī dariyā bahe haiñ
'salīm' achchhī ġhazal hai terī maanā
magar ye phuul ghūre par khile haiñ
teri jaanib se dil mein waswase hain
ye kutte raat bhar bhonka kiye hain
libas-e-dard bhi hum ne utara
ye kapDe ab purane ho chuke hain
utaren kenchuli ab talKH jazbaat
ki wo apne mein ghuT kar rah gae hain
na ho mayus KHushk aaankhon se ai dil
ki sahraon mein bhi dariya bahe hain
'salim' achchhi ghazal hai teri mana
magar ye phul ghure par khile hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.