Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri ulfat mein jitni meri zillat baDhti jati hai

Wasif Dehlvi

teri ulfat mein jitni meri zillat baDhti jati hai

Wasif Dehlvi

tirī ulfat meñ jitnī merī zillat baḌhtī jaatī hai

qasam hai rabb-e-izzat ki izzat baḌhtī jaatī hai

ḳhudāyā ḳhair ho māmūr-hā-e-rub miskīñ

ki ab dil khol kar rone aadat baḌhtī jaatī hai

kisī ko yaad kar ke ek din ḳhalvat meñ royā thā

nahīñ mālūm kyuuñ jab se nadāmat baḌhtī jaatī hai

kahāñ tāqat sunāne kise fursat hai sunñe

ki mujmal hote hote bhī hikāyat baḌhtī jaatī hai

kahāñ maiñ aur kahāñ terī nigāh-e-lutf ai saaqī

ḳhudā jaane ye kyuuñ mujh par ināyat baḌhtī jaatī hai

ye merā shīsha-e-dil hai ḳhazaf-reza nahīñ hamdam

shikasta jis qadar hotā hai qīmat baḌhtī jaatī hai

idhar tahsīn-e-ārā.ish ḳhvāhish husn-e-ḳhud-bīñ ko

yahāñ jazbāt-e-pinhāñ hifāzat baḌhtī jaatī hai

ġhazab jazb hai 'vāsif' nigāh-e-mast meñ us

manāzil qat.a hote haiñ azīmat baḌhtī jaatī hai

teri ulfat mein jitni meri zillat baDhti jati hai

qasam hai rabb-e-izzat ki ki izzat baDhti jati hai

KHudaya KHair ho mamur-ha-e-rub miskin ki

ki ab dil khol kar rone ki aadat baDhti jati hai

kisi ko yaad kar ke ek din KHalwat mein roya tha

nahin malum kyun jab se nadamat baDhti jati hai

kahan taqat sunane ki kise fursat hai sunne ki

ki mujmal hote hote bhi hikayat baDhti jati hai

kahan main aur kahan teri nigah-e-lutf ai saqi

KHuda jaane ye kyun mujh par inayat baDhti jati hai

ye mera shisha-e-dil hai KHazaf-reza nahin hamdam

shikasta jis qadar hota hai qimat baDhti jati hai

idhar tahsin-e-araish ki KHwahish husn-e-KHud-bin ko

yahan jazbaat-e-pinhan ki hifazat baDhti jati hai

ghazab ka jazb hai 'wasif' nigah-e-mast mein us ki

manazil qata hote hain azimat baDhti jati hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now