tum pe kya bit gai kuchh to batao yaro
tum pe kyā biit ga.ī kuchh to batāo yaaro
maiñ koī ġhair nahīñ huuñ ki chhupāo yaaro
in añdheroñ se nikalne kī koī raah karo
ḳhūn-e-dil se koī mish.al hī jalāo yaaro
ek bhī ḳhvāb na ho jin meñ vo āñkheñ kyā haiñ
ik na ik ḳhvāb to āñkhoñ meñ basāo yaaro
bojh duniyā kā uThā.ūñgā akelā kab tak
ho sake tum se to kuchh haath baTāo yaaro
zindagī yuuñ to na bāñhoñ meñ chalī aa.egī
ġham-e-daurāñ ke zarā naaz uThāo yaaro
umr-bhar qatl huā huuñ maiñ tumhārī ḳhātir
āḳhirī vaqt to suulī na chaḌhāo yaaro
aur kuchh der tumheñ dekh ke jī luuñ Thahro
merī bālīñ se abhī uTh ke na jaao yaaro
tum pe kya bit gai kuchh to batao yaro
main koi ghair nahin hun ki chhupao yaro
in andheron se nikalne ki koi rah karo
KHun-e-dil se koi mishal hi jalao yaro
ek bhi KHwab na ho jin mein wo aankhen kya hain
ek na ek KHwab to aankhon mein basao yaro
bojh duniya ka uThaunga akela kab tak
ho sake tum se to kuchh hath baTao yaro
zindagi yun to na banhon mein chali aaegi
gham-e-dauran ke zara naz uThao yaro
umr-bhar qatl hua hun main tumhaari KHatir
aaKHiri waqt to suli na chaDhao yaro
aur kuchh der tumhein dekh ke ji lun Thahro
meri baalin se abhi uTh ke na jao yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.