Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaare pas rahen hum to maut bhi kya hai

Azad Gulati

tumhaare pas rahen hum to maut bhi kya hai

Azad Gulati

MORE BYAzad Gulati

    tumhāre paas raheñ ham to maut bhī kyā hai

    magar jo duur kaTe tum se zindagī kyā hai

    jab uTh ke chal diye tum tīrgī umaD aa.ī

    jo tum na ho to charāġhoñ raushnī kyā hai

    kuchh aise phuul bhī guzre haiñ merī nazroñ se

    jo khil ke bhī na samajh paa.e zindagī kyā hai

    bas un yaad ke ham paañv chuum lete haiñ

    hameñ ḳhabar nahīñ merāj-e-bandagī kyā hai

    kabhī jo gosh-bar-āvāz ho ke us ko suno

    tumheñ pata bhī chale sāz-e-ḳhāmushī kyā hai

    mirī nigāh ne kyā kyā na ḳhvāb dekhe haiñ

    tirī nigāh ne ik baat kahī kyā hai

    hamīñ ne zulmat-e-hastī meñ dil jalā.e haiñ

    ye ham samajhte haiñ darmān-e-tīrgī kyā hai

    ubhar rahī hai jo rah rah ke dil dhaḌkan meñ

    vo aarzū hai ki hai us bebasī kyā hai

    ḳhizāñ-nasīb hoñ nazreñ jo ahl-e-gulshan

    to phir bahār ke jalvoñ tāzgī kyā hai

    jahāñ meñ ye kabhī majbūr hai kabhī muḳhtār

    hai ek sho.abada 'āzād' aadmī kyā hai

    tumhaare pas rahen hum to maut bhi kya hai

    magar jo dur kaTe tum se zindagi kya hai

    jab uTh ke chal diye tum tirgi umaD aai

    jo tum na ho to charaghon ki raushni kya hai

    kuchh aise phul bhi guzre hain meri nazron se

    jo khil ke bhi na samajh pae zindagi kya hai

    bas un ki yaad ke hum panw chum lete hain

    hamein KHabar nahin meraj-e-bandagi kya hai

    kabhi jo gosh-bar-awaz ho ke us ko suno

    tumhein pata bhi chale saz-e-KHamushi kya hai

    meri nigah ne kya kya na KHwab dekhe hain

    teri nigah ne ek baat si kahi kya hai

    hamin ne zulmat-e-hasti mein dil jalae hain

    ye hum samajhte hain darman-e-tirgi kya hai

    ubhar rahi hai jo rah rah ke dil ki dhaDkan mein

    wo aarzu hai ki hai us ki bebasi kya hai

    KHizan-nasib hon nazren jo ahl-e-gulshan ki

    to phir bahaar ke jalwon ki tazgi kya hai

    jahan mein ye kabhi majbur hai kabhi muKHtar

    hai ek shoabada 'azad' aadmi kya hai

    Source :
    • Book : Dasht-e-Sada (Pg. 119)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now