Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

turra use jo husn-e-dil-azar ne kiya

Haidar Ali Aatish

turra use jo husn-e-dil-azar ne kiya

Haidar Ali Aatish

turra use jo husn-e-dil-āzār ne kiyā

andher gesū-e-siyah-e-yār ne kiyā

gul se jo sāmnā tire ruḳhsār ne kiyā

mizhgāñ ne vo kiyā ki jo kuchh ḳhaar ne kiyā

nāz-o-adā ko tark mire yaar ne kiyā

ġhamza nayā ye turk sitamgār ne kiyā

afshāñ se kushta abrū-e-ḳhamdār ne kiyā

jauhar se kaam yaar talvār ne kiyā

qāmat tirī dalīl qayāmat ho ga.ī

kaam āftāb-e-hashr ruḳhsār ne kiyā

merī nigah ke rashk se rauzan ko jaan

raḳhna ye qasr-e-yār dīvār ne kiyā

saudā-e-zulf meñ mujhe aayā ḳhayāl-e-ruḳh

mushtāq raushnī shab-e-tār ne kiyā

hasrat bosa-e-lab-e-shīrīñ rah ga.ī

mīThā na muñh ko tere namak-ḳhvār ne kiyā

fursat milī na girya se ik lahza ishq meñ

paanī mire lahū ko is āzār ne kiyā

sīmāb tarah se shagufta huā mizāj

iksīr mujh ko mere ḳharīdār ne kiyā

qad meñ to kar chukā thā vo ahmaq barābarī

majbūr sarv ko tirī raftār ne kiyā

hairat se pā-ba-gil hue rauzan ko dekh kar

dīvār ham ko yaar dīvār ne kiyā

patthar ke aage sajda kyā ne brahman

kāfir tujhe tire but-e-pindār ne kiyā

kāvish mizha ne ruḳh-e-dilbar diid meñ

pā-e-nigāh se bhī ḳhalish ḳhaar ne kiyā

'āshiq tarah maiñ jo lagā karne bandagī

āzād daaġh de ke ḳharīdār ne kiyā

e'jāz 'ajab lab-e-jāñ-baḳhsh se nahīñ

paiġhambar us ko mus.haf-e-ruḳhsār ne kiyā

turra tarah se dil-e-āshiq ko pech meñ

kis kis lapeT se tirī dastār ne kiyā

āñkhoñ ko band kar ke tasavvur meñ baaġh ke

gulshan qafas ko murġh-e-giraftār ne kiyā

nālāñ huā maiñ us ruḳh-e-rañgīñ ko dekh kar

bulbul mujhe nazāra-e-gulzār ne kiyā

haklā ke mujh se baat jo us dil-rubā ne

kis husn se adā use takrār ne kiyā

ulTā udhar naqāb to parde paḌe idhar

āñkhoñ ko band jalva-e-dīdār ne kiyā

lazzat ko tark kar to ho duniyā ranj duur

parhez bhī davā hai jo bīmār ne kiyā

nā-sāf ā.īna ho to bad-tar hai sañg se

raushan ye haal ham ko jalākār ne kiyā

halqa nāf-e-yār ke tā'rīf kyā karūñ

gol aisā dā.era nahīñ parkār ne kiyā

dīvān-e-husn-e-yār 'ātish' jo sair

dīvāna bait abrū-e-ḳhamdār ne kiyā

turra use jo husn-e-dil-azar ne kiya

andher gesu-e-siyah-e-yar ne kiya

gul se jo samna tere ruKHsar ne kiya

mizhgan ne wo kiya ki jo kuchh KHar ne kiya

naz-o-ada ko tark mere yar ne kiya

ghamza naya ye turk sitamgar ne kiya

afshan se kushta abru-e-KHamdar ne kiya

jauhar se kaam yar ki talwar ne kiya

qamat teri dalil qayamat ki ho gai

kaam aaftab-e-hashr ka ruKHsar ne kiya

meri nigah ke rashk se rauzan ko jaan di

raKHna ye qasr-e-yar ki diwar ne kiya

sauda-e-zulf mein mujhe aaya KHayal-e-ruKH

mushtaq raushni ka shab-e-tar ne kiya

hasrat hi bosa-e-lab-e-shirin ki rah gai

miTha na munh ko tere namak-KHwar ne kiya

fursat mili na girya se ek lahza ishq mein

pani mere lahu ko is aazar ne kiya

simab ki tarah se shagufta hua mizaj

iksir mujh ko mere KHaridar ne kiya

qad mein to kar chuka tha wo ahmaq barabari

majbur sarw ko teri raftar ne kiya

hairat se pa-ba-gil hue rauzan ko dekh kar

diwar hum ko yar ki diwar ne kiya

patthar ke aage sajda kya tu ne brahman

kafir tujhe tere but-e-pindar ne kiya

kawish mizha ne ki ruKH-e-dilbar ki did mein

pa-e-nigah se bhi KHalish KHar ne kiya

'ashiq ki tarah main jo laga karne bandagi

aazad dagh de ke KHaridar ne kiya

e'jaz ka 'ajab lab-e-jaan-baKHsh se nahin

paighambar us ko mushaf-e-ruKHsar ne kiya

turra ki tarah se dil-e-ashiq ko pech mein

kis kis lapeT se teri dastar ne kiya

aankhon ko band kar ke tasawwur mein bagh ke

gulshan qafas ko murgh-e-giraftar ne kiya

nalan hua main us ruKH-e-rangin ko dekh kar

bulbul mujhe nazara-e-gulzar ne kiya

hakla ke mujh se baat jo us dil-ruba ne ki

kis husn se ada use takrar ne kiya

ulTa udhar naqab to parde paDe idhar

aankhon ko band jalwa-e-didar ne kiya

lazzat ko tark kar to ho duniya ka ranj dur

parhez bhi dawa hai jo bimar ne kiya

na-saf aaina ho to bad-tar hai sang se

raushan ye haal hum ko jalakar ne kiya

halqa ki naf-e-yar ke ta'rif kya karun

gol aisa daera nahin parkar ne kiya

diwan-e-husn-e-yar ki 'atish' jo sair ki

diwana bait abru-e-KHamdar ne kiya

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now