tu agar mera tazkira karega
tū agar merā tazkira karegā
jhuuT bolegā aur kyā karegā
ḳhud ko tū jāntā nahīñ shāyad
tū samajhtā hai sab ḳhudā karegā
zaḳhm khā kar bhī jo duā.eñ de
kaun us kā muqābla karegā
kyā use yaad bhī na ā.ūñgā
kyā mujhe yaad vo kiyā karegā
phir kahāñ mil sakegā vo mujh se
jo mujhe aap se judā karegā
apnī jhūTī anā kī ḳhātir to
jaane kis kis se rābta karegā
dil hī aisā hai bā-vafā 'momin'
bevafā se bhī jo vafā karegā
tu agar mera tazkira karega
jhuT bolega aur kya karega
KHud ko tu jaanta nahin shayad
tu samajhta hai sab KHuda karega
zaKHm kha kar bhi jo duaen de
kaun us ka muqabla karega
kya use yaad bhi na aaunga
kya mujhe yaad wo kiya karega
phir kahan mil sakega wo mujh se
jo mujhe aap se juda karega
apni jhuTi ana ki KHatir to
jaane kis kis se rabta karega
dil hi aisa hai ba-wafa 'momin'
bewafa se bhi jo wafa karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.