Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu ghazal ban ke utar baat mukammal ho jae

Waheed Akhtar

tu ghazal ban ke utar baat mukammal ho jae

Waheed Akhtar

ġhazal ban ke utar baat mukammal ho jaa.e

muntazir dil munājāt mukammal ho jaa.e

umr bhar milte rahe phir bhī na milne paa.e

is tarah mil ki mulāqāt mukammal ho jaa.e

din meñ bikhrā huuñ bahut raat sameTegī mujhe

bhī aa to mirī zaat mukammal ho jaa.e

niind ban kar mirī āñkhoñ se mire ḳhuuñ meñ utar

rat-jagā ḳhatm ho aur raat mukammal ho jaa.e

maiñ sarāpā huuñ duā mirā maqsūd-e-duā

baat yuuñ kar ki mirī baat mukammal ho jaa.e

abr āñkhoñ se uThe haiñ tirā dāman mil jaa.e

hukm ho terā to barsāt mukammal ho jaa.e

tire siine se mire siine meñ āyāt utreñ

sūra-e-kashf-o-karāmāt mukammal ho jaa.e

tere lab mohr lagā deñ to ye qissa ho tamām

daftar-e-tūl-e-shikāyāt mukammal ho jaa.e

tujh ko paa.e to 'vahīd' apne ḳhudā ko le

kāvish-e-ma.arfat-e-zāt mukammal ho jaa.e

tu ghazal ban ke utar baat mukammal ho jae

muntazir dil ki munajat mukammal ho jae

umr bhar milte rahe phir bhi na milne pae

is tarah mil ki mulaqat mukammal ho jae

din mein bikhra hun bahut raat sameTegi mujhe

tu bhi aa ja to meri zat mukammal ho jae

nind ban kar meri aankhon se mere KHun mein utar

rat-jaga KHatm ho aur raat mukammal ho jae

main sarapa hun dua tu mera maqsud-e-dua

baat yun kar ki meri baat mukammal ho jae

abr aankhon se uThe hain tera daman mil jae

hukm ho tera to barsat mukammal ho jae

tere sine se mere sine mein aayat utren

sura-e-kashf-o-karamat mukammal ho jae

tere lab mohr laga den to ye qissa ho tamam

daftar-e-tul-e-shikayat mukammal ho jae

tujh ko pae to 'wahid' apne KHuda ko pa le

kawish-e-marfat-e-zat mukammal ho jae

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

tu ghazal ban ke utar baat mukammal ho jae Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now