Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu jo kahta hai bolta kya hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

tu jo kahta hai bolta kya hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

jo kahtā hai boltā kyā hai

amr-e-rabbī hai rūh-e-maulā hai

jab talak hai judā hai qatra

bahr meñ mil gayā to dariyā hai

fil-haqīqat koī nahīñ martā

maut hikmat ek pardā hai

aur sharī.at pūchhtā hai yaar

vahdahū lā-sharīk yaktā hai

haigā vahm-o-qayās se bāhar

vo na tujh hai aur na mujh hai

jahāñ ho jo kaho samī-o-basīr

sab ko dekhe hai sab suntā hai

nazar aatā nahīñ vo a.amā ko

varna us zuhūr sab hai

var tarīqat kare hai savāl

so to kahtā huuñ gar samajhtā hai

ġhair-e-haq ke na dekh ġhair taraf

dīda-e-dil jo terā biinā hai

baat suntā hai to usī sun

gar tarīqat se tujh ko bahrā hai

us ke zikr bin na kar kuchh zikr

gar dahāñ meñ zabān-e-goyā hai

haath se kaam bhī usī kar

paañv se chal jo raah us hai

kaam is meñ baḌā hai nafs-kushī

ho sake to ajab tamāshā hai

ma.arifat pūchh kyā hai aarif se

jis ko irfān hai so to gūñgā hai

jis ne paayā use so hai ḳhāmosh

jis ne paayā nahīñ so baktā hai

aap aap hai jahāñ dekho

kullo-shai.in muhīt-e-paidā hai

ishq martaba hai sab se buland

sar se pahle qadam guzartā hai

jo huā sirr-e-ishq se āgāh

aage marne se aap martā hai

jo fanā ho huā baqā-billāh

kab use zindagī parvā hai

us ko har aan har qadam har dam

az surā sair tā-surayyā hai

ramz-e-tauhīd ko samajh kar bol

gar sāhib-shu.ūr-o-dānā hai

vo na samjhegā ye suḳhan 'hātim'

jis ko jahl aur ḳhayāl-e-saudā hai

tu jo kahta hai bolta kya hai

amr-e-rabbi hai ruh-e-maula hai

jab talak hai juda tu hai qatra

bahr mein mil gaya to dariya hai

fil-haqiqat koi nahin marta

maut hikmat ka ek parda hai

aur shariat ki puchhta hai tu yar

wahdahu la-sharik yakta hai

haiga wahm-o-qayas se bahar

wo na tujh sa hai aur na mujh sa hai

jahan ho jo kaho sami-o-basir

sab ko dekhe hai sab ki sunta hai

nazar aata nahin wo aama ko

warna us ka zuhur sab ja hai

war tariqat ka tu kare hai sawal

so to kahta hun gar samajhta hai

ghair-e-haq ke na dekh ghair taraf

dida-e-dil jo tera bina hai

baat sunta hai to usi ki sun

gar tariqat se tujh ko bahra hai

us ke tu zikr bin na kar kuchh zikr

gar dahan mein zaban-e-goya hai

hath se kaam bhi usi ka kar

panw se chal jo rah us ka hai

kaam is mein baDa hai nafs-kushi

ho sake to ajab tamasha hai

marifat puchh kya hai aarif se

jis ko irfan hai so to gunga hai

jis ne paya use so hai KHamosh

jis ne paya nahin so bakta hai

aap hi aap hai jahan dekho

kullo-shain muhit-e-paida hai

ishq ka martaba hai sab se buland

sar se pahle qadam guzarta hai

jo hua sirr-e-ishq se aagah

aage marne se aap marta hai

jo fana ho hua baqa-billah

kab use zindagi ki parwa hai

us ko har aan har qadam har dam

az sura sair ta-surayya hai

ramz-e-tauhid ko samajh kar bol

gar tu sahib-shuur-o-dana hai

wo na samjhega ye suKHan 'hatim'

jis ko jahl aur KHayal-e-sauda hai

Source :
  • Book : Diwan-e-Zadah (Pg. 287)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now