TuTa hai purana sada pul lafzon ka
TuuTā hai purānā saada pul lafzoñ kā
ab rishta hai duniyā se faqat āñkhoñ kā
vo bhuul ga.e haiñ to ajab kyā is meñ
thā khel ye to guzre hue lamhoñ kā
ik lamhe meñ sab ḳhatm hai maazī ho ki haal
yādoñ kā ḳhazāna thā bahut barsoñ kā
sab log hameñ ek nazar aate haiñ
andāza nahīñ hotā hai ab chehroñ kā
'māmūn' haiñ bāteñ havā kā jhoñkā
ham ko to bharosa hī nahīñ bātoñ kā
TuTa hai purana sada pul lafzon ka
ab rishta hai duniya se faqat aankhon ka
wo bhul gae hain to ajab kya is mein
tha khel ye to guzre hue lamhon ka
ek lamhe mein sab KHatm hai mazi ho ki haal
yaadon ka KHazana tha bahut barson ka
sab log hamein ek nazar aate hain
andaza nahin hota hai ab chehron ka
'mamun' hain baaten hawa ka jhonka
hum ko to bharosa hi nahin baaton ka
- Book : Sanson Ke Paar (Pg. 235)
- Author : Khalil Mamoon
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.