Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

TuTte jism ke mahtab bikhar ja mujh mein

Musavvir Sabzwari

TuTte jism ke mahtab bikhar ja mujh mein

Musavvir Sabzwari

MORE BYMusavvir Sabzwari

    TūTte jism ke mahtāb bikhar mujh meñ

    maiñ chaḌhī raat dariyā huuñ utar mujh meñ

    maiñ tirī yaad ke sāvan ko kahāñ barsā.ūñ

    ab rut meñ koī bādal bhī na garjā mujh meñ

    jaate qadmoñ koī chaap shāyad sun luuñ

    Dūbte lamhoñ bārāt ubhar mujh meñ

    jaane maiñ kaun se patjhaḌ meñ huā thā barbād

    girte pattoñ ik āvāz hai har mujh meñ

    koī mahkār hai ḳhushbū na rañgoñ lakīr

    ek sahrā huuñ kahīñ se bhī guzar mujh meñ

    ḳhatm hone de mire saath apnā bhī vajūd

    bhī ik naqsh ḳharābe hai mar mujh meñ

    koī har-gām 'musavvir' ye sadā detā hai

    maiñ tirī āḳhirī manzil huuñ Thahar mujh meñ

    TuTte jism ke mahtab bikhar ja mujh mein

    main chaDhi raat ka dariya hun utar ja mujh mein

    main teri yaad ke sawan ko kahan barsaun

    ab ki rut mein koi baadal bhi na garja mujh mein

    jate qadmon ki koi chap hi shayad sun lun

    Dubte lamhon ki baraat ubhar ja mujh mein

    jaane main kaun se patjhaD mein hua tha barbaad

    girte patton ki ek aawaz hai har ja mujh mein

    koi mahkar hai KHushbu ki na rangon ki lakir

    ek sahra hun kahin se bhi guzar ja mujh mein

    KHatm hone de mere sath hi apna bhi wajud

    tu bhi ek naqsh KHarabe ka hai mar ja mujh mein

    koi har-gam 'musawwir' ye sada deta hai

    main teri aaKHiri manzil hun Thahar ja mujh mein

    Source :
    • Book : Manghii dhire chal (Pg. 78)
    • Author : Musavvir Sabzwari
    • Publication : Nazish Book Center (1971)
    • Edition : 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now