udas hain sab pata nahin ghar mein kya hua hai
udaas haiñ sab patā nahīñ ghar meñ kyā huā hai
hamārā itnā ḳhayāl kyuuñ rakkhā jā rahā hai
kuchh itnā ḳhush-fahm ho gayā huuñ ki apnā chehra
parā.ī āñkhoñ se jab bhī dekhā burā lagā hai
abhī to achchhī lagegī kuchh din judā.ī kī rut
abhī hamāre liye ye sab kuchh nayā nayā hai
ḳhushī huī thī ki ab maiñ tanhā nahīñ huuñ lekin
ye shaḳhs to mere saath chaltā hī jā rahā hai
mujhe to is baat kī ḳhushī hai ki ab bhī mujh meñ
kisī pe bhī e'tibār karne kā hausla hai
udas hain sab pata nahin ghar mein kya hua hai
hamara itna KHayal kyun rakkha ja raha hai
kuchh itna KHush-fahm ho gaya hun ki apna chehra
parai aankhon se jab bhi dekha bura laga hai
abhi to achchhi lagegi kuchh din judai ki rut
abhi hamare liye ye sab kuchh naya naya hai
KHushi hui thi ki ab main tanha nahin hun lekin
ye shaKHs to mere sath chalta hi ja raha hai
mujhe to is baat ki KHushi hai ki ab bhi mujh mein
kisi pe bhi e'tibar karne ka hausla hai
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 58)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.