Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uf re ubhaar uf re zamana uThan ka

Riyaz Khairabadi

uf re ubhaar uf re zamana uThan ka

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    uf re ubhār uf re zamāna uThān

    kal baam par the aaj hai qasd āsmān

    ronā likhā nasīb meñ hai apnī jaan

    shikvā na aap na gilā āsmān

    bāzār meñ bhī chalte haiñ koThoñ ko dekhte

    saudā ḳharīdte haiñ to ūñchī dukān

    ye bhī ḳhudā shaan ham ab aise ho ga.e

    saayā bhī bhāgtā hai tumhāre makān

    kyuuñ ġham-nasīb dil ko burā kah rahe ho tum

    kyuuñ sabr le rahe ho kisī be-zabān

    vaa.iz sharāb-ḳhāne meñ kholegā kyā zabāñ

    ham ḳhuub jānte haiñ vo Tarrā hai thaan

    ham jām-e-mai ke bhī lab-e-tar chūste nahīñ

    chaskā paḌā huā hai tumhārī zabān

    maiñ dil vārdāt to kahne ko kah chalūñ

    kis ko yaqīn aa.egā mere bayān

    ye to kahā tujhe ho lahū thūknā nasīb

    tum ne kabhī diyā koī TukḌā bhī paan

    maiñ jā.ūñ na jā.ūñ unheñ le ke baam par

    badlā huā hai rañg bahut āsmān

    afsāna tum ne qais shāyad sunā nahīñ

    TukḌā hai ek vo bhī mirī dāstān

    ab koī siina chiir ke rakh le ki dil banā.e

    āveza gir paḌā hai koī un ke kaan

    aayā jo ġhair-lutf bahut der tak rahā

    badlā thā maiñ ne bhes tire pāsbān

    duniyā paḌ rahī haiñ nigāheñ 'riyāz' par

    kis vaz.a javān hai kis ān-bān

    uf re ubhaar uf re zamana uThan ka

    kal baam par the aaj hai qasd aasman ka

    rona likha nasib mein hai apni jaan ka

    shikwa na aap ka na gila aasman ka

    bazar mein bhi chalte hain koThon ko dekhte

    sauda KHaridte hain to unchi dukan ka

    ye bhi KHuda ki shan hum ab aise ho gae

    saya bhi bhagta hai tumhaare makan ka

    kyun gham-nasib dil ko bura kah rahe ho tum

    kyun sabr le rahe ho kisi be-zaban ka

    waiz sharab-KHane mein kholega kya zaban

    hum KHub jaante hain wo Tarra hai than ka

    hum jam-e-mai ke bhi lab-e-tar chuste nahin

    chaska paDa hua hai tumhaari zaban ka

    main dil ki wardat to kahne ko kah chalun

    kis ko yaqin aaega mere bayan ka

    ye to kaha tujhe ho lahu thukna nasib

    tum ne kabhi diya koi TukDa bhi pan ka

    main jaun ya na jaun unhen le ke baam par

    badla hua hai rang bahut aasman ka

    afsana tum ne qais ka shayad suna nahin

    TukDa hai ek wo bhi meri dastan ka

    ab koi sina chir ke rakh le ki dil banae

    aaweza gir paDa hai koi un ke kan ka

    aaya jo ghair-lutf bahut der tak raha

    badla tha main ne bhes tere pasban ka

    duniya ki paD rahi hain nigahen 'riyaz' par

    kis waza ka jawan hai kis aan-ban ka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now