uftad tabiat se is haal ko hum pahunche
uftād tabī.at se is haal ko ham pahuñche
shiddat kī mohabbat meñ shiddat hī ke ġham pahuñche
ahvāl batā.eñ kyā raste kī sunā.eñ kyā
bā-hālat-e-zār aa.e bā-dīda-e-nam pahuñche
jis chehre ko dekhā vo ā.īna-e-dūrī thā
dīvār kī sūrat thā jis dar pe qadam pahuñche
kuchh lab pe kuchh āñkhoñ meñ le aa.e sajā kar ham
jo rañj ki haath aa.e jo ġham ki baham pahuñche
qat-e-sar-e-shāḳh-e-narm āġhāz-e-numū-e-nau
sadme mirī chāhat ko pahuñche to pa kam pahuñche
vo shāḳh bane-sañvre vo shāḳh phale-phūle
jis shāḳh pe dhuup aa.e jis shāḳh ko nam pahuñche
uftad tabiat se is haal ko hum pahunche
shiddat ki mohabbat mein shiddat hi ke gham pahunche
ahwal bataen kya raste ki sunaen kya
ba-haalat-e-zar aae ba-dida-e-nam pahunche
jis chehre ko dekha wo aaina-e-duri tha
diwar ki surat tha jis dar pe qadam pahunche
kuchh lab pe kuchh aankhon mein le aae saja kar hum
jo ranj ki hath aae jo gham ki baham pahunche
qat-e-sar-e-shaKH-e-narm aaghaz-e-numu-e-nau
sadme meri chahat ko pahunche to pa kam pahunche
wo shaKH bane-sanwre wo shaKH phale-phule
jis shaKH pe dhup aae jis shaKH ko nam pahunche
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 275)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.