Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr guzri hai iltija karte

Anwar Sabri

umr guzri hai iltija karte

Anwar Sabri

umr guzrī hai iltijā karte

qissa-e-ġham lab-āshnā karte

jiine vaale tire baġhair ai dost

mar na jaate to aur kyā karte

haa.e vo qahr-e-sādgī-āmez

kaash ham phir unheñ ḳhafā karte

rañg hotā kuchh aur duniyā

shaiḳh merā agar kahā karte

aap karte jo ehtirām-e-butāñ

but-kade ḳhud ḳhudā ḳhudā karte

rind hote jo bā-shu.ūr 'anvar'

kyā batā.ūñ tumheñ vo kyā karte

umr guzri hai iltija karte

qissa-e-gham lab-ashna karte

jine wale tere baghair ai dost

mar na jate to aur kya karte

hae wo qahr-e-sadgi-amez

kash hum phir unhen KHafa karte

rang hota kuchh aur duniya ka

shaiKH mera agar kaha karte

aap karte jo ehtiram-e-butan

but-kade KHud KHuda KHuda karte

rind hote jo ba-shuur 'anwar'

kya bataun tumhein wo kya karte

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

umr guzri hai iltija karte Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now