umr ki awwalin azanon mein
umr kī avvalīñ azānoñ meñ
chain thā dil ke kār-ḳhānoñ meñ
lahlahāte the khet siine ke
bāñsurī baj rahī thī kānoñ meñ
bāñsurī jis kī taan miltī thī
ḳhvāb ke be-numū jahānoñ meñ
ḳhvāb jin ke nishān milnā the
aane vaale ka.ī zamānoñ meñ
muskurāhaT charāġh aisī thī
raushnī khil uThī makānoñ meñ
raushnī jis kā dil dhaḌaktā thā
duur sahrā ke sārbānoñ meñ
vo kisī baaġh jaisī hairānī
ab agar hai to dāstānoñ meñ
umr ki awwalin azanon mein
chain tha dil ke kar-KHanon mein
lahlahate the khet sine ke
bansuri baj rahi thi kanon mein
bansuri jis ki tan milti thi
KHwab ke be-numu jahanon mein
KHwab jin ke nishan milna the
aane wale kai zamanon mein
muskurahaT charagh aisi thi
raushni khil uThi makanon mein
raushni jis ka dil dhaDakta tha
dur sahra ke sarbanon mein
wo kisi bagh jaisi hairani
ab agar hai to dastanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.