un se nayan mila ke dekho
un se nayan milā ke dekho
ye dhokā bhī khā ke dekho
duurī meñ kyā bhed chhupā hai
is kā khoj lagā ke dekho
kisī akelī shaam kī chup meñ
giit purāne gā ke dekho
aaj kī raat bahut kaalī hai
soch ke diip jalā ke dekho
dil kā ghar sunsān paḌā hai
dukh kī dhuum machā ke dekho
jaag jaag kar umr kaTī hai
niiñd ke dvāre jā ke dekho
un se nayan mila ke dekho
ye dhoka bhi kha ke dekho
duri mein kya bhed chhupa hai
is ka khoj laga ke dekho
kisi akeli sham ki chup mein
git purane ga ke dekho
aaj ki raat bahut kali hai
soch ke dip jala ke dekho
dil ka ghar sunsan paDa hai
dukh ki dhum macha ke dekho
jag jag kar umr kaTi hai
nind ke dware ja ke dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.